Quantcast
Channel: DESIBEES - All Forums
Viewing all articles
Browse latest Browse all 11760

megic ring

$
0
0
me hazir hu nayi story ke shath asa he sport milega 🙄



mai ---saal ka hu mai ne jab apne hosh sambhala tha tab mai ek anath ashram mai tha jha se main bhag gaya tha wo kyo chalia aap ko batata hu...

kuch saal pahela....

mera name kya hai mai nahi janta per yaha ke log mujhe "sham" bulate hai{ ye name kis ne rakha pata nahi par log muhje ise name se jaante hai }. kahane ko to ye ek ashram hai par kisi jeal sa kam nahi hai or wo kyu to ise ki wajha yahe ke manager " lalit yadav" { inhe shirf paiso se pyar hai } ye ham sabhi baccho ko dushro ke ghar bhaje ke kam karaate hai. jab bhi hame logo{ sabhi baccho ko } kam ke liye bhajte to hamaare sath koi na koi to raheta hai jo ham baccho par nazare rakhte hai or jin logo ke ghar ham jate hai un logo ko bhi sab kuch pata rahata hai par wo log ise bare mai kuch nahi karte kyoki unhe to shirf apne kam se matlab hai kabhi-2 to wo apna gussa ham pe hee utarte hame marte or ise ke extra paise bhi hamare manager ko milta hai..

kabhi-2 to ham admari halat mai vapis aate hai...

us ashram mai bass ek achi bate thi ki ham pade sakta tha kyo ki har 6 mahino mai ek bar us ashram ke malik aate the......

hame padhana manager ki majboori thi jis ki wajha aashram ke malik the warna manager to hame kabhi nahi padhaya.....

ab aap ye soch rahe hoge ki ham kuch bolte kyu nahi tha jab malik aate tha to ise ki wajha ye thi ke ham darte tha manager se ( the bhi to ham bacche ) agar ham kam karne se mana kar de to hame bhout bure tarike se mara jata tha ya hamaare saath jo bacche the unhe bhi saja milti thi jis ki wajha se ham apne muh aashram ke malik ke samne nahi khol pate the.......

kabhi - 2 man karta tha ise nark me jine se accha apni jaan de du par wo bhi nahi kar pata tha kyo ki kisi ko wada jo kiya tha....

lakin mera gussa ne ek din apni sari limit cross kar di or ise ka natija ye hua ki mujhe dar lagna he band ho gaya....


{ dar sab kuch kara deta hai par kabhi-2 ye dar itna bad jata hai ki aap ko dar lagna he band ho jata hai or ye he mere saath hua hai }...

jab maine ye sab kam kar ne se mana kar diya to ine logo ne mujhe torture (atyaachaar) kiya mujhe mara 4 din tak khana nahi diya tab mujhe bhout gussa aya or maine decide kiya ki main yaha se bhag luga..

or ise ke liye mujhe koi plan sochna tha...

kyu ki hamare saath ashram ya ashram ke bahar koi na koi raheta yane ki ham pe 24 so ghanta nazar rakhi jati thi ki ham yaha se bhag na paye...

ise liye mera yaha se bhagna bhout mushkil tha par ab ek bar jo soch liya wo soch liya ab to yaha se bhag luga kase bhi kar ke

Viewing all articles
Browse latest Browse all 11760

Trending Articles